Roman script

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

bhale chin lo mujhse meri jawani

magar mujhko lauta do bachpan ka sawan

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

bhale chin lo mujhse meri jawani

magar mujhko lauta do bachpan ka sawan

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

mohalle ki sabse nishani purani

wo budhiya jise bachche kehte the nani

wo nani ki baato me pariyo ka dera

wo chehre ke jhuriyo me sadiyo ka phera

bhulaaye nahi bhul saqta hai koi

wo choti si raate wo lambi kahani

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

kadi dhup me apne ghar se nikalna

wo chidiya wo bulbul wo thithli pakadna

wo gudiya ki shaadi pe ladna jhagadna

wo jhulo se girna, wo gir ke sambhalna

wo pithal ke challo ke pyaare se tofe

wo tuti hui chudiyo ki nishaani

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

kabhi ret ke uche tilo pe jana

gharode banana, banaake mitana

wo maasum chahat ki tasvir apni

wo khwabo khilu ki tabir jagir apni

na duniya ka gham tha na rishto ke bandhan

badi khubsurat thi wo zindgani

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

bhale chin lo mujhse meri jawani

magar mujhko lauta do bachpan ka sawan

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

wo kagaz ki kasthi wo barish ka pani

Explore this song