Roman script

wo aurat hai jo insano ki uchi shaan karti hai

jarurat ho to apna pyar bhi kurban karti hai

agar sansar me aurat na hoti

to insano ki ye ijjat na hoti

agar sansar me aurat na hoti

to insano ki ye ijjat na hoti

jaha wale ne duniya ko racha ke

anokha maan duniya ko diya hai

magar aurat ki hasti ko bana ke

khud apne naam ko ucha kiya hai

agar mohabbat ko vo paida na karta

to mohabbat ki koi kimat na hoti

agar sansar me aurat na hoti

to insano ki ye ijjat na hoti

agar sansar me aurat na hoti

to insano ki ye ijjat na hoti

Explore this song