Roman script

kal tak mai akela tha aaj jamana sath hai

waqt waqt ki bat hai waqt waqt ki bat hai

jab itna mashur na tha yaro mera nam

tab pani na milta tha ab milte hai jaam

kal ye rat andheri thi aaj suhani rat hai

waqt waqt ki bat hai waqt waqt ki bat hai

sunkar meri bato ko hai dunia hairan

dekhte rah gaye sab maine mar liya maidan 

kal dil me virani thi aaj magar barat hai

waqt waqt ki bat hai waqt waqt ki bat hai

aaj tu janegi mujhko aye mere mahbub

bhola bhala hu lekin aadmi hu mai khub

kal tha jiska intzar aaj wo mulakat hai

waqt waqt ki bat hai waqt waqt ki bat hai

kal tak mai akela tha aaj jamana sath hai

waqt waqt ki bat hai waqt waqt ki bat hai

Explore this song