Roman script

vo mohabbat vo wafaaye kis tarah ham bhul jaaye

e gam-e-dil ji rahe hai tujhko de kar ham duaaye

vo mohabbat

jab se luta gardisho ne ishq tanha rah gaya hai

unki yado ke alaava ab yaha kya rah gaya hai

ab yaha kya rah gaya hai

hamse rutha hai khuda bhi kisko apna gam dikhaaye

vo mohabbat vo wafaaye kis tarah ham bhul jaaye

vo mohabbat

naam unka gunjata hai ab bhi dil ki dhadakano me

pad gayi hai zindagaani haay kitni ulajhano me

haay kitni ulajhano me

kaash khvaabo me vo aakar haalat-e-dil dekh jaaye

vo mohabbat vo wafaaye kis tarah ham bhul jaaye

vo mohabbat

chand aaho ka sahaara chand ashko par guzaara

ye bhi koyi zindagi hai ai mere parvaradigaara

ai mere parvaradigaara

khud hi bakhsha pyar tune khud hi hamko di sazaaye

vo mohabbat vo wafaaye kis tarah ham bhul jaaye

e gam-e-dil ji rahe hai tujhko de kar ham duaaye

Explore this song