Roman script

wo jo hum me tum me qaraar tha

tumhe yaad ho ke na yaad ho

wo jo hum me tum me qaraar tha

tumhe yaad ho ke na yaad ho

wahi yaani wada 

wahi yaani wada, nibaah ka

tumhe yaad ho ki na yaad ho

wahi yaani wada 

wo naye gile wo shiqaayate

wo maze maze ki hiqaayate

wo naye gile wo shiqaayate

wo maze maze ki hiqaayate

wo har ek baat pe ruthna tumhe 

yaad ho ki na yaad ho

wo har ek baat pe ruthna tumhe 

yaad ho ki na yaad ho

wo jo hum me tum me 

kabhi hum me tum me bhi chaah thi

kabhi humse tumse bhi raah thi

kabhi hum me tum me bhi chaah thi

kabhi humse tumse bhi raah thi

kabhi hum bhi tum bhi the aashna

tumhe yaad ho ki na yaad ho

kabhi hum bhi tum bhi the aashna

tumhe yaad ho ki na yaad ho

wo jo hum me tum me 

jise aap ginte the aashna

jise aap kahte the baawafaa

jise aap ginte the aashna

jise aap kahte the baawafaa

mai wahi hun momin e mubtila

tumhe yaad ho ki na yaad ho

mai wahi hun momin e mubtila

tumhe yaad ho ki na yaad ho

wo jo hum me tum me qaraar tha

tumhe yaad ho ke na yaad ho

wo jo hum me tum me

Explore this song