Roman script

wo hum na the wo tum na the 
wo hum na the wo tum na the, wo rahguzar thi pyar ki
luti jaha pe bewajah palki bahar ki, palki bahar ki
wo hum na the wo tum na the 
ye khel tha nasib ka 
ye khel tha nasib ka, na hans sake na ro sake
na tur par pahunch sake, na dar par hi so sake
kahani kisse ye kahe
kahani kisse ye kahe  chadhav ki utar ki
luti jaha pe bewajah palki bahar ki, palki bahar ki
wo hum na the wo tum na the 
tumhi the mere rahnuma, tumhi the mere humasafar
tumhi the meri roshani, tumhi ne mujhko di nazar, di nazar
bina tumhare zindagi
bina tumhare zindagi shama hai ek mazar ki
luti jaha pe bewajah palki bahar ki, palki bahar ki
wo hum na the wo tum na the 
ye kon sa muqam hai
ye kon sa muqam hai falak nahi zami nahi
ke shab nahi sahar nahi, ke gam nahi khushi nahi
kaha ye leke aa gayi 
kaha ye leke aa gayi hawa tere dayar ki
luti jaha pe bewajah palki bahar ki, palki bahar ki
wo hum na the wo tum na the 
guzar rahi hai tumpe kya banake humko dar-b-dar
ye soch kar udas hu, ye soch kar hai chashm tar, chashm tar  
na chot hai ye phul ki 
na chot hai ye phul ki, na khalish hai ye khar ki
luti jaha pe bewajah palki bahar ki, palki bahar ki
palki bahar ki, palki bahar ki

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Helen, Chandrashekhar