Roman script

virah me sati ke vyaakul vythit ho

chale bhole shankar na jaane kaha

madhur kalpna ko hirday se hatate

chale bhole shankar na jaane kaha

bilakhta hai nandi, bilakhta hai shringi

bilakhta hai vyaakul vishdhar vichaarah

kaha ja rahe ho hume chhod swaami

humara nahi koi duja sahara

kaise jiyenge tumhaare bina hum

chale bhole shankar na jaane kaha

na sudh budh hai tan me, na hai chain man me

anjaan path pe badhe ja rahe hai

priya ke viyug me ho baawra sa

kathin dukh ke aansu peeye rahe hai

girte sambhalte badhaate hue pag

chale bhole shankar na jaane kaha

hai tadpat rahe shiv sati bina

haay virah me tan man sheen hue

vikraal samay ki aandhi me

shiv shankar priy vihin hue

anatr ki dhadhakti jwala ko

vo raag ke rang me ghol diye

anuraag ke bandhan tode annat

samadhi me dhiv leen hue

Explore this song