Roman script

us bewafa ki yaad mein, mar mar ke jee raha hu

main hu nahi sharaabi, dar dar ke pee raha hu

behlaau kaise dil ko, jab gham ho behisaab

achhi ho ya kharaab, sabkuch hai ab sharaab

thoda pee leta hu, thoda jee leta hu

dil ke in zakhmo ko, thoda see leta hu

kal mila tha unse, yu hi bas raahon mein

wo bahut hi khush thi, gair ki baahon mein

zakhmo se bas bhari hai, ab dil ki ye kitaab

achhi ho ya kharaab, sabkuch hai ab sharaab

achhi ho ya kharaab, sabkuch hai ab sharaab

zindagi mushkil hai, jee raha hu phir bhi

sab mana karte hai, pee raha hu phir bhi

jab kabhi bhule se, nind aa jaati hai

wo mere khwaabon mein, phir se chha jaati hai

duniya sawaal puchhe, kis kisko main du jawaab

achhi ho ya kharaab, sabkuch hai ab sharaab

achhi ho ya kharaab, sabkuch hai ab sharaab

us bewafa ki yaad mein, mar mar ke jee raha hu

main hu nahi sharaabi, dar dar ke pee raha hu

behlaau kaise dil ko, jab gham ho behisaab

achhi ho ya kharaab, sabkuch hai ab sharaab

achhi ho ya kharaab, sabkuch hai ab sharaab

achhi ho ya kharaab, sabkuch hai ab sharaab

Explore this song