Roman script

us din mujhko bhul na jana, jis din mujhse ji bhar jaye

hum dono ye kasam utha le, jo bhule bas wo mar jaye

us din mujhko bhul na jana, jis din mujhse ji bhar jaye

kaun kisi ko chhod raha hai, kaun ye wada tod raha hai

khun ke badle ab nas nas me, pyar tumhara daud raha hai

ye to sach ho par ye na ho, tu dunia se dar jaye

us din mujhko bhul na jana, jis din mujhse ji bhar jaye

jab se hamne pyar kiya hai, tab se tujhe aisa lagta hai

ho teri bate tu hi jane, mujhko to aisa lagta hai

babul ka ghar chhod  ke gori, jaise sajan ke ghar jaye

us din mujhko bhul na jana, jis din mujhse ji bhar jaye

kuch to ye dil diwana hai, kuch mausam bhi mastana hai

baki bate fir kar lena, achha mujhko ab jana hai

jo jaye jane se pahle, aane ka wada kar jaye

hum dono ye kasam uthale, bas wo mar jaye

us din mujhko bhul na jana, jis din mujhse ji bhar jaye

us din mujhko bhul na jana, jis din mujhse ji bhar jaye

Explore this song