Roman script

ulti ho gai sab tadabire kuchh na dawaa ne kaam kiya

dekhaa is bimaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya

ahad-e-jawaani ro ro kaata piri me li aankhe mund

yaani raat bahut the jaage subah hui aaraam kiya

naahak ham majaburo par ye tohamat hai mukhtaari ki

chaahate hai so aap kare hai hamako abas badanaam kiya

Explore this song