Roman script

uljhano ko de diya hai tumne jo mera pata

toh aa gayi yaha pe dekho le ke woh bechainiya

abb tumhi bataao hamko dil ko kya bataaye ham

yeh jo bhi hai woh khwab hai ya hai jindagi

jindagi hai khwab hai iska kya jawaab hai

kyon ulajh gayi ho tum yeh sidha sa hisaab hai

aur apne dil ko bhi bataao tum yahi ke yeh

khwab hi toh jindagi hai, jindagi hi khwab hai

kya huwa the abhi toh tum waha, aa gaye kaise mere waste

manjile dhundhate huye yahi ho gaye khatm saare raaste

jaane kaise raasto pe aur yeh kaisi manjilo pe

aa gaye hain aaj kal ke ham jahaan pe ho gaye

thode thode paaglo se yeh bhi sochte nahi

ke paaglo sa mann mera sochta hai kya

sochne ko sochna bada hasin khayaal hai

khud ko kahna paaglo sa khub yeh misaal hai

apne ko samajh ke bhi yeh kuchh bhi na samajhne ki

teri yahi saadgi toh bas tera kamaal hai

haath me haath leke yu mera, bolo kya kahna chaahte ho tum

aaya tha kuchh abhi khyal me, tumne jo bola toh huwa woh gum

kya woh mere pyaar ki jagi jagi si aarjoo thi

ya woh tha mujhe hi apne dil me rakhne ka iraada

waada tha koi ke abb toh honge ham juda nahi

ya kahna chaah rahe the hamse pyaar hai tumhe

mujhe bhi lag raha hai jaise aarjoo hi thi koi

jo mujhse kah rahi thi waade ka iraada hai koi

dil me rakhne ki kisi ko aur juda na hone ki

pyaar hai yeh kahne ki ya thi baat woh koi

Explore this song