Roman script

ulfat ka jab kisi ne liya naam, ro pade

ulfat ka jab kisi ne liya naam, ro pade

apni wafa ka soch ke anjam, ro pade

ulfat ka jab kisi ne liya naam, ro pade

har sham ye sawal, mohabbat se kya mila

har sham ye sawal, mohabbat se kya mila

har sham ye jawab, ke har sham ro pade

ulfat ka jab kisi ne liya naam, ro pade

raah-e-wafa me humko, khushi ki talash thi

raah-e-wafa me humko, khushi ki talash thi

do gaam hi chale the, ke har gaam ro pade

apni wafa ka soch ke anjam, ro pade

ulfat ka jab kisi ne liya naam, ro pade

rona nasib me hai, to auro se kya gila

rona nasib me hai, to auro se kya gila

apne hi sar liya koi ilzaam, ro pade

ulfat ka jab kisi ne liya naam, ro pade

apni wafa ka soch ke anjam, ro pade

ulfat ka jab kisi ne liya naam, ro pade

Explore this song