Roman script

ujla ujla rup suhana mera aashiq hai zamana

ho ujla ujla rup suhana mera aashiq hai zamana

har pal nigaho se masti lutau

lekin kisi ke mai hath nahi aau

pas to aana na baba na, aankh ladana na baba na

marji teri kya batlana, na na na na na

ujla ujla rup suhana mera aashiq hai zamana

chahta hai mujhe har koi yahan dhadkan hu main har dil ki

chahta hai mujhe har koi yahan dhadkan hu main har dil ki

har ada pe meri log marte hai jaan hu main is mehfil ki

zulf maine bikhrai jhum ke li jab angdai

har kisi ka dil bola haye kaha se ye aayi

pyar jatana na baba na, dil lagana na baba na

marji teri kya batlana, na na na na na

ujla ujla rup suhana haye mera aashiq hai zamana

dil de de diwane ko na tadpa diwane ko, ja ja, na na

diwane jab pyar kare to matlab se hi karte hain

ho diwane jab pyar kare to matlab se hi karte hain

sach mano to isiliye hum dil dene se darte hain

dillagi ban jati hai dil ki lagi dhire dhire

har ghadi tadpati hai aashiqi dhire dhire

ye afsana na baba na, nain milana na baba na

marzi teri kya batlana, na na na na na

ujla ujla rup suhana haye mera aashiq hai zamana

ujla ujla rup suhana mera aashiq hai zamana

har pal nigaho se masti lutau

lekin kisi ke main hath nahi aau

pass to aana na baba na, aankh ladana na baba na

marji teri kya batlana, na na na na na

Explore this song