Roman script

ehsaas ko ek naya rang mil gaya

is dil ko ek naya sang mil gaya

is rang ko is sang ko

naam mohabbat mil gaya

uff kya jadu mohabbat hai

uff kya jadu mohabbat hai

tum pass hokar milo se 

faasle kyu lagte hai

dil ne to apna mana tumhe

lab kuch kahne se darte hai

har ek ada ko tumhari sanam

bade pyar se dekhe hai hum

uff kya jadu mohabbat hai

uff kya jadu

aawaz jo mere dil ne di

tumhare bhi dil ne suni hai kya

jo baat mere dil ko lagi

tumhare bhi dil ko lagi hai kya

aisa hi kuch hua hai agar

ye pahli mohabbat ka hai asar

uff kya jadu

uff kya jadu

khud ke alawa ek gair pe

humko yaki kyu aane laga

apne shahar se uska nagar

itna hume kyu bhane laga

dil ka kanwal ye khila kahin

dil ka kanwal ye khila kahin

par ye nikharna chahe yahi

uff kya jadu mohabbat hai

uff kya jadu mohabbat hai

uff kya jadu mohabbat hai

Explore this song