Roman script

tune jo na kaha, main wo sunata raha

khaamakha bewajah, khwaab bunata raha

tune jo na kaha, main wo sunata raha

khaamakha bewajah, khwaab bunata raha

jaane kiski hamein lag gayi hai najar

iss shehar mein na apna thikaana raha

dur chaahat se main apani chalata raha

khaamakha bewajah, khwab bunata raha

dard pehale se hai jyaada, khud se phir ye kiya waada

khaamosh najare rahe bejubaan

abb na pehali si baate hai, bolo to lab thartharaate hai

raaj ye dil ka na ho bayaan

ho gaya ki asar koyi ham pe nahi

hum safar me to hai humsafar hai nahi

dur jaata raha paas aata raha

khaamakha bewajah, khwaab bunata raha

aaya wo phir najar aise, baat chhidane lagi phir se

aankho mein chubhata kal ka dhuwaan

haal tera na hum sa hai, iss khushi me kyun gum sa hai

basne laga kyun phir wo jahaan

wo jahaan dur jisse gaye the nikal

phir se yaado ne kar di hai jaise pehal

lamaha bita huwa dil dukhaata raha

khaamakha bewajah, khwaab bunata raha

tune jo na kahan, main wo sunata raha

khaamakha bewajah, khwaab bunata raha

jaane kisaki hamein lag gayi hai najar

iss shehar mein na apna thikaana raha

dur chaahat se main apani chalata raha

bujh gayi aag thi daag jalata raha

Explore this song