Roman script

ik din bahaaro ne phulo se ye kahaa

kaanto ki nok par khilte ho tum magar

hanste ho jhum kar zakhmo ko chum kar

insaano ke liye deewano ke liye

mushkil ye kaam hai 

tumko salaam hai haan tumko salaam hai

kahiye saahebaan ye daastaan kaisi lagi

ye daastaan nahi haan-haan ji 

haan nahi koi paiyaam hai

tumko salaam hai haan tumko salaam hai

afsos kya dil kushiyo se tha bhara

thoda sa ye agar chhalkaa to kya hua

aadhaa chhalak gaya khaali nahi hua

aadhaa bharaa hua abhi ye jaam hai

tumko salaam hai haan tumko salaam hai

tumne to bas mujhe jeena sikha diya

parda utha diya jalvaa 

dikha diya pardaa utha diya

har zakhm daag hai har gul chiraag hai

tumko salaam hai haan tumko salaam hai

is zindagi ko tum thoda sa pyar do

gam ke bhi raat din hans kar guzaar do

kyoki ye zindagi ae mere hamanashi 

koi sazaa nahi ye ik inaam hai

tumko salaam hai haan tumko salaam hai

Explore this song