Roman script

tumhi ho mata pita tumhi ho

tumhi ho bandhu sakha tumhi ho

tumhi ho mata pita tumhi ho

tumhi ho bandhu sakha tumhi ho

tumhi ho saathi tumhi sahare

koi na apna siwa tumhaare

tumhi ho saathi tumhi sahare

koi na apna siwa tumhaare

tumhi ho naiyya tumhi khewayya

tumhi ho bandhu sakha tumhi ho

tumhi ho mata pita tumhi ho

tumhi ho bandhu sakha tumhi ho

jo khil sake na wo phool ham hain

tumhaare charno ki dhool ham hain

jo khil sake na wo phool ham hain

tumhaare charno ki dhool ham hain

daya ki drishti sada hi rakhna

tumhi ho bandhu sakha tumhi ho

tumhi ho mata pita tumhi ho

tumhi ho bandhu sakha tumhi ho

Explore this song