Roman script

tumhe qasam hai meri dil ko yu naa tadpaao
ye iltija hai ke mud mud ke dekhte jaao
o jaanewale mud ke zara dekhte jaana, zara dekhte jaana
o jaanewale mud ke zara dekhte jaana, zara dekhte jaana
dil tod ke to chal diye, mujhko na bhulana, zara dekhte jaana
fariyad kar rahi hai khaamosh nigaahe, khaamosh nigaahe 
fariyad kar rahi hai khaamosh nigaahe, khaamosh nigaahe 
aansu ki tarah aankh se mujhko na girana, zara dekhte jaana
o jaanewale mud ke zara dekhte jaana, zara dekhte jaana

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Raj Kapoor, Nargis