Roman script

tumhari jaan-e-tamanna salam kahti hai

tumhari jaan-e-tamanna salam kahti hai

jise samjhte ho apna salam kahti hai

jise samjhte ho apna salam kahti hai

tumhari jaan-e-tamanna salam kahti hai

hawa ye kaisi ke, daman ko chum kar kahna

na phere mujhse mohabbat bhari najar kahna

mere huzur se, ye hath jod kar kahna

tumhare ishq ki duniya salam kahti hai

tumhare ishq ki duniya salam kahti hai

ye duniya kaid se, mujhko chuda rahi hai aaj

fiza ko gum ka fasana, suna rahi hai aaj

jise hai tumse mohabbat, wo jaa rahi hai aaj

larajte hath se laila salam kahti hai

larajte hath se laila salam kahti hai

tumhari jaan-e-tamanna salam kahti hai

tumhari jaan-e-tamanna salam kahti hai

Explore this song