Roman script

ghazal mein ghazal mein bandisho 

alfaaz hi nahi kaafi

ghazal mein bandisho 

alfaaz hi nahi kaafi

jigar ka khoon bhi kuch chahiye 

asar ke liye 

tumhare shahar ka mausam  

mausam mausam mausam mausam mausam  

tumhare shahar ka mausam

tumhare shahar ka mausam bada suhana lage 

tumhare shahar ka mausam bada suhana lage 

main ek sham chura lu agar bura na lage 

main ek sham chura lu agar bura na lage

tumhare shahar ka mausam

jo doobna hai jo doobna hai to 

itne sukoon se doobo

jo doobna hai to itne sukoon se doobo

doobo doobo doobo doobo doobo jo doob

jo doobna hai to itne sukoon se doobo

ke aas paas ke aas paas ki 

lahro ko bhi pata na lage

ke aas paas ki lahro ko bhi pata na lage

ke aas paas ki lahro ko bhi pata na lage

tumhare shahar ka mausam

tumhare bas mein agar ho

tumhare bas mein agar ho to bhool jao hume  

tumhare bas mein agar ho to bhool jao hume

bhool jao hume 

tumhare bas mein agar ho to bhool jao hume

tumhe bhoolane mein shayad hume zamana lage 

tumhe bhoolane mein shayad hume zamana lage 

tumhare shahar ka mausam bada suhana lage 

na jaane kya hai na jaane kya hai

kisi ki udas ankhon mein

na jaane kya hai kisi ki udas ankhon mein

wo munh chhipa ke bhi jaaye to bewafa na lage 

wo munh chhipa ke bhi jaaye to bewafa na lage

tumhare shahar ka mausam

hamare pyaar se hamare pyaar se 

jalne lagi hai ek duniya 

hamare pyaar se jalne lagi hai ek duniya

hamare pyaar se jalne lagi hai ek duniya

dua karo dua karo 

kisi dushman ki baddua na lage

dua karo kisi dushman ki baddua na lage 

tumhare shahar ka mausam bada suhana lage 

main ek sham chura lu agar bura na lage 

tumhare shahar ka mausam

tumhare shahar ka mausam

tumhare shahar ka mausam

Explore this song