Roman script

tum to ho sabke tumhaara nahi koi 
tum to ho sabke tumhaara nahi koi
tumpe tumhari sada kismmat roi, kismmat roi
tum to ho sabke tumhaara nahi koi
auro ke deep jalane ko ghar apana jalaya tumane 
auro ke deep jalane ko ghar apana jalaya tumane 
jaan se bhi pyaaro ki najar me khud ko giraya tumane 
dard tumhaara jaana naa koi, dard tumhaara jaana naa koi
tumpe tumhari sada kismmat roi, kismmat roi
tum to ho sabke tumhaara nahi koi
jivan se yun haar maan li kyun kar liya kinara 
jivan se yun haar maan li kyun kar liya kinara 
kaali raat nahi ho jisme chamke ek bhi tara 
sab kuchh khoya himmat jo khoi
sab kuchh khoya himmat jo khoi 
tumpe tumhari sada kismmat roi, kismmat roi
tum to ho sabke tumhaara nahi koi

Song details