Roman script

nashila hai yeh mausam

tum sa na dekha hai, tumko hi dekhenge

dil aur nazar churaana tumse hi sikhenge

o jaanejaana

betaabi kehati hai, yeh shaam jaati hai

aur tum yeh kehati ho, abb raat baaki hai

o jaanejaana

yaar yeh pyaar ka sama

nashila hai yeh mausam, nashe mein jahaan

yaar yeh pyaar ka sama

nashe mein hai yeh waqt tum ho kahaan

waha jaake baithe ho kisaki nigaaho mein

ya aake dekho tum dil ki panaaho mein

o jaanejaa

jab dhundh hat jaaye, aur sab nazar aaye

aankhe mila lena jab hosh sharmaaye

o jaanejaana

yaar yeh pyaar ka sama

nashila hai yeh mausam, nashe mein jahaan

yaar yeh pyaar ka sama

nashe mein hai yeh pal tum ho kahaan

o jaanejaana - (4)

Explore this song