Roman script

main hu aur mere khayaalat mere saamne hain

teri yaadon ke silsile hain, meri aankhon mein

tum jo muskaate the

tum jo muskaate the, dil behal jaata tha

tum kareeb aate the 

main behak jaata tha

tum nahi, to nahi koi bhi hamara 

tum jo muskaate the, dil behal jaata tha

tum nahi, to nahi koi bhi hamara 

tumko maanga tha sanam, duaaon ki tarah

tum chale aaye sanam, haadson ki tarah

tumko maanga tha sanam, humne duaaon ki tarah

tum chale aaye zindagi me, haadson ki tarah

chaand aur chandani sa milan hamara

bichh gaya raah mein, dilnashi nazara ho

ho paayalen, chudiyaan, madbhari raaten 

kaanpte lab tere, jheel si aankhen 

nit subah uth jana, pujaghar se aana

aarti saad ke, bindiya ka sitara 

tum jo muskaate the, dil behal jaata tha

tum nahi, to nahi koi bhi hamara 

har wo suhanapan, meri jaagir ho gaya

tu chahe na chahe, meri taqdeer ho gaya

yaad har shaam hain, dariyaa ke kinaare

pyar ke haye wo, kitne din the pyaare

ha mera har geet par, kamyaabi paana 

wo teri thi duaan, aaj maine jaana

mere har mansube, aansuon mein doobe 

aa bhi ja meet mere, dil ne hain pukara

tum jo muskaate the, dil behal jaata tha

tum nahi, to nahi koi bhi hamara

Explore this song