Roman script

mujhe meri wafao ka ye 
kya badla diya tune
teri aukat kya hai aaj 
ye samjha diya tune
tum bewafa ho kis mod pe lake 
mera pyar bhara dil tod diya
kabhi tum jaan to hamare the
tumhe hum to jaan se pyare the
phir kyu yaha daulat ke liye 
tune dil ke sapne bech diye 
tum bewafa ho kis mod pe lake 
mera pyar bhara dil tod diya
logo ne kitna samjhaya pathar 
pe phul nahi khilte 
rangin rup ki galiyo me
dil ke humsafar nahi milte 
wo bat samjh me ab aayi
jab dil ne ye thokar khayi 
diwana banake kaha pyar ka daman
tune chhod  diya
tum bewafa ho kis mod pe lake 
mera pyar bhara dil tod diya
dil ko tune kya zakham diye 
dil chir ke mai dikhla na saku
mujh par hai kya kya julm kiye 
ginvau to ginva na saku 
kyu badli pyar ki wo rahe 
kyu tham li gairo ki bahe 
ashqo me dubo ke rista mera gam se
tune jod diya
tum bewafa ho kis mod pe lake 
mera pyar bhara dil tod diya
aisa bhi waqt kabhi aaye 
tujh par bhi ye tir chal jaye
jis aag me mujhko phunk diya
us aag me tu bhi jal jaye 
tujh par bhi kayamat ye tute 
tujhko bhi kismat yu lute 
meri duniya jala ke 
kyu muh mujhse tune mod liya
tum bewafa ho kis mod pe lake 
mera pyar bhara dil tod diya
kabhi tum jaha to hamare the
tumhe hum to jaan se pyare the
phir kyu yaha daulat ke liye 
tune dil ke sapne bech diye 
tum bewafa ho tum bewafa ho
tum bewafa ho tum bewafa ho

Song details

Song video

Watch on YouTube