Roman script

tum besahara ho to kisi ka sahara bano

tum ko apne aap hi sahara mil jayega

kashti koyi dubati pahuncha do kinare pe

tum ko apne ap hi kinara mil jayega

tum besahara ho to kisi ka sahara bano

tum besahara ho to

hans kar jinda rehna padta hai

apna dukh khud sehna padta hai

rasta chahe kitna lamba ho 

dariya ko to behna padta hai

tum ho ek akele to ruk mat jao chalo niklo

raste me koyi sathi tumhara mil jayega

tum besahara ho to kisi ka sahara bano

tum besahara ho to

na basti me na virano me

na kheto me na khalihano me

na milta hai pyar bazaaro me

na bikta hai chain dukano me

dhundh rahe ho tum jisko, usko bahar mat dhundho

mann ke andar dhundho pritam pyara mil jayega

tum besahara ho to kisi ka sahara bano

tum besahara ho to

Explore this song