Roman script

tum besahara ho to kisi ka sahara bano

tum besahara ho to kisi ka sahara bano

tum ko apne aap hi sahara mil jayega

kashti koi dubati pahuncha do kinare pe

tum ko apne aap hi kinara mil jayega

tum besahara ho to

hans kar jinda rehna padta hai

apna dukh khud sehna padta hai

rasta chahe kitna lamba ho

dariya ko toh behna padta hai

tum ho ek akele to ruk mat jao chal niklo

raste me koi sathi tumhara mil jayega

tum besahara ho to kisi ka sahara bano

tum besahara ho to

jiwan to ek jaisa hota hai, koi hansta, koi rota hai

sabrr se jina asan hota hai, fikr se jina mushkil hota hai

thode phul hain kante hain jo takdir ne bante hain

hamko isme se hissa hamara mil jayega

tum besahara ho to kisi ka sahara bano

tum besahara ho to

Explore this song