Roman script

tu hindu banega na musalman banega

insaan ki aulad hai insaan banega 

tu hindu banega na musalman banega

insaan ki aulad hai insaan banega 

achchha hai abhi tak tera kuch naam nahi hai

tujhko kisi majhab se koi kaam nahi hai

achchha hai abhi tak tera kuch naam nahi hai

tujhko kisi majhab se koi kaam nahi hai

jis ilm ne insaan ko taksin kiya hai

us ilm ka tujh par koi iljaam nahi hai

tu badle huye waqt ki pehchan banega 

insaan ki aulad hai insaan banega 

tu hindu banega na musalman banega

insaan ki aulad hai insaan banega 

malik ne har insaan ko insaan banaya 

hamne use hindu ya musalman banaya

malik ne har insaan ko insaan banaya 

hamne use hindu ya musalman banaya

kudrat ne to bakshi thi hame ek hi dharti

hamne kahi bharat kahi iran banaya

jo tod de har band vo tufan banega

insaan ki aulad hai insaan banega 

tu hindu banega na musalman banega

insaan ki aulad hai insaan banega 

nafrat jo sikhaye vo dharam tera nahi hai

insaan ko jo ronde vo kadam tera nahi hai

nafrat jo sikhaye vo dharam tera nahi hai

insaan ko jo ronde vo kadam tera nahi hai

kuran na ho jisme vo mandir nahi tera

gita na ho jisme vo haram tera nahi hai

tu amn ka aur sulah ka armaan banega

insaan ki aulad hai insaan banega 

tu hindu banega na musalman banega

insaan ki aulad hai insaan banega 

ye din ke taajar, ye vatan bechne wale

vatan bechne wale

ye din ke taajar, ye vatan bechne wale

insaano ke laasho ki kafan bechne wale

kafan bechne wale

insaano ke laasho ki kafan bechne wale

ye mehlo me baithe huye katil, ye lutere

kaanto ke vajru hai chaman bechne wale

kaanto ke vajru hai chaman bechne wale

tu inke liye maut ka ailaan banega

insaan ki aulad hai insaan banega 

tu hindu banega na musalman banega

insaan ki aulad hai insaan banega

Explore this song