Roman script

sweetheart

o tu hai solah satrah sal ki par ladki hai kamal ki

tujhpe yeh dil aa gaya hay, tujhpe yeh dil aa gaya

o tu hai satrah atrah sal ka par ladka hai kamal ka

mere dil pe tu chha gaya hay, mere dil pe tu chha gaya

teri madhosh yeh aankhe, teri mastani ada

dekhte hi sanam tujhko ho gaya tujhpe fida

teri divangi dekhi toh mai bhi khone lagi

mere mehbub janeman teri mai hone lagi

kya hai rangat gore gal ki par ladki hai kamal ki

tujhpe yeh dil aa gaya hay, tujhpe yeh dil aa gaya

o tu hai satrah athrah sal ka par ladka hai kamal ka

mere dil pe tu chha gaya hay, mere dil pe tu chha gaya

tere jaisa kahi koyi nahi hoga jamane me

tera hi nam aayega mere har ek fasane me

meri yaado ki angdayi, mere khwabo ki kali

chura ke chain chori se kaha leharake chali

tu divana meri chal ka par ladka hai kamal ka

mere dil pe tu chha gaya hay, mere dil pe tu chha gaya

tu hai solah satrah sal ki par ladki hai kamal ki

tujhpe yeh dil aa gaya hay, tujhpe yeh dil aa gaya

Explore this song