Roman script

jug jug se ye bol raha hai dharti ko aakaash

jab tak tan me saans hai bande hona nahi niraash

tu aas ka dipak jala

ke tera bhagwaan karega bhala

ke tera bhi, ke tera bhi din aayega re

andhera saara mit jaayega re

tu aas ka dipak jala

ke tera bhagwaan karega bhala

srishti ka niyam hai pyaare

har dam rahta na andhera

srishti ka niyam hai pyaare

har dam rahta na andhera

koi aisi raat na hoti

hota nahin jiska savera

vishwaas ki jyoti jala

vishwaas ki jyoti jala

ke tera bhagwaan karega bhala

ke tera bhi, ke tera bhi din aayega re

andhera saara mit jaayega re

tu aas ka dipak jala

ke tera bhagwaan karega bhala

kashto se na jo ghabraae

phal usko mila karta hai

kashto se na jo ghabraae

phal usko mila karta hai

jab sau sau kaantein chubhte

tab phul khila karta hai

dukh sukh ka yahi silasila

dukh sukh ka yahi silasila

ke tera bhagawaan karega bhala

ke tera bhi, ke tera bhi din aayega re

andhera saara mit jaayega re

tu aas ka dipak jala

ke tera bhagwaan karega bhala

Explore this song