Roman script

tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali

mukhda tera saahu jaisa manwa tera lutera

daya dharam ki gali kabhi na daala tune phera 

wahi bagicha luta tune

wahi bagicha luta tune tha tu jiska maali 

kaahe rapat kare kotwaali

tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali

ped lagaaya paap ka maange badale me naarangi

laakh chhipaaye resham se kaaya teri nangi 

bhari rahegi teri tijori

bhari rahegi teri tijori haath rahenge khaali 

kaahe rapat kare kotwaali

tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali

tu samajhe tu bada sayaana main samajhu diwaana

sachche thaanedaar ko ab tak na pehchaana 

jis par baitha murakh

jis par baitha murakh kaat raha wahi daali 

kaahe rapat kare kotwaali

tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali

tu aap hai apna chor kaahe rapat kare kotwaali

Explore this song