Roman script

tod ke radha ka rota dil 
chhodke sang ki sakhiya 
kaun chala re ye nirmohi, roye sab ki ankhiya 
jamuna roye kadam bhi roye
man madhuvan me shyaam dhale
gokul se ghanshyaam chale, gokul se ghanshyaam chale
jamuna roye kadam bhi roye
man madhuvan me shyaam dhale
gokul se ghanshyaam chale, gokul se ghanshyaam chale
suna hai jasoda ka aangan, suni hai gokul ki galiya 
suna hai jasoda ka aangan, suni hai gokul ki galiya 
ab na sunaayidegi biraj me, manmohan ki madhur murliya 
ab na raseela raas rachega, nile nile gagan tale 
gokul se ghanshyaam chale, gokul se ghanshyaam chale
jamuna roye kadam bhi roye
man madhuvan me shyaam dhale
gokul se ghanshyaam chale, gokul se ghanshyaam chale
gopala gopala kahake roye vrindaavan saara 
gopala gopala kahake roye vrindaavan saara
gaiya maiya ki ankhiyon se jharti hai karuna ki dhara 
krur vidhata kaale kaale lekh kisi se nahi tale 
gokul se ghanshyaam chale, gokul se ghanshyaam chale
jamuna roye kadam bhi roye
man madhuvan me shyaam dhale
gokul se ghanshyaam chale, gokul se ghanshyaam chale
ghanshyaam chale ghanshyaam chale ghanshyaam chale
ghanshyaam chale, ghanshyaam chale, ghanshyaam chale

Song details

Song video

Watch on YouTube