Roman script

tin taal par naach 

tin taal par naach budhaape 

bachpan aur jawaani ka

rang hazaaro

rang hazaaro magar zindagi 

ek bulbulaa paani ka

tin taal par naach

hari bhari daali ko yun hi 

hari bhari daali ko yun hi 

patjhad me lut jaana hai

khila phul jo aaj chaman me 

khila phul jo 

khila phul jo aaj chaman me 

kal usko murjhana hai

subah hui aur khatm fasana 

subah hui aur khatm fasana 

shabanam ki zindagani ka

tin taal par naach

saari duniya ko hathiyane 

saari duniya ko hathiyane 

murakh inasaan daude re

dogaz dharti bane bichhauna 

dogaz dharti 

dogaz dharti bane bichhauna 

upar maati odhe re

mile dhul me sapan suhana 

mile dhul me sapan suhana 

duniya ki sultaani ka

tin taal par naach

ek bund ki pyaas pyaar ki 

ek bund ki pyaas pyaar ki 

taal talaiyaa reete re 

badhi magar wo bujh na paai 

badhi magar wo

badhi magar wo bujh na paai 

janam hazaaro bite re

de na paaye saat samundar 

de na paaye saat samundar 

ek bhi qatraa paani ka

tin taal par naach

tin taal par naach budhaape 

bachpan aur jawaani ka

rang hazaaro magar zindagi 

ek bulbulaa paani ka

tin taal par naach

Explore this song