Roman script

tin taal par naach, tin taal par naach 

budhaape bachpan aur javaani ka

rang hazaaro, rang hazaaro

magar zindagi ek bulbula paani ka

tin taal par naach 

hari-bhari daali ko yu hi 

hari-bhari daali ko yu hi 

patajhad mein lut jaana hai

khila phul jo aaj chaman mein 

khila phul jo, khila phul jo aaj chaman mein 

kal usako murjhaana hai

subah hui aur khatam fasaana 

subah hui aur khatam fasaana

shabnam ki zindgaani ka

tin taal par naach 

saari duniya ko hathiyaane 

saari duniya ko hathiyaane 

murakh insaa daude re

do gaz dharti bane bichhauna 

do gaz dharti, do gaz dharti bane bichhauna 

upar maati odhe re

mile dhul mein sapan suhaana 

mile dhul mein sapan suhaana 

duniya ki sultaani ka

tin taal par naach 

ek bund ki pyaas pyaar ki 

ek bund ki pyaas pyaar ki 

taal-talaiya rite re

badhi magar vo bujh na paayi 

badhi magar vo, badhi magar vo bujh na paayi 

janam hazaaro beete re

de na paayein saat samundar

de na paayein saat samundar

ek bhi katra paani ka

tin taal par naach, tin taal par naach 

budhaape bachpan aur javaani ka

rang hazaaro

magar zindagi ek bulbula paani ka

tin taal par naach

Explore this song