Roman script

tere khayal ko dil se, kabhi mita na sake 
tujhe bhulana bhi chaha, magar bhula na sake 
tere khayal ko dil se, kabhi mita na sake 
na jaane kaun si aisi thi, dil ki majburi 

hansi bhi aayi labo par to muskura na sake 
tere khayal ko dil se, kabhi mita na sake
jo daag dil pe diye hain, hame mohabbat ne 

ham aansuo se bhi unko, kabhi mita na sake 
tere khayal ko dil se, kabhi mita na sake
jubaan kholi jo hamne to honth kaanp uthe 

ham apne dil ki kahani kabhi suna na sake 
tere khayal ko dil se, kabhi mita na sake
tujhe bhulaana bhi chaha, magar bhula na sake 
tere khayal ko dil se, kabhi mita na sake

Song details

Song video

Watch on YouTube