Roman script

tere hansne se mujhko aati hai hansi
teri sari batein chup chap main sunti 
tere hansne se mujhko aati hai hansi 
teri sari batein chup chap main sunti
aisa lage tere bina kuch bhi nahi kuch bhi nahi 
aisa lage tu hai duaa, meri khushi 
tere hasne se mujhko aati hai hansi 
teri sari baatein chup chaap main sunti 
teri ungli pakad kar chalna seekha maine 
girte uthte gir kar sambhalna seekha maine 
mere sapno mein jo rang hai tu hi laya hai 
tune pankh diye aur udna seekha maine 
aisa lage tere bina kuch bhi nahi, kuch bhi nahi 
aisa lage tu hai duaa, meri khushi
tere hasne se mujh ko aati hai hansi
teri sari batein chup chaap main sunti
dhundti hun tujhko phir bhi na paati hun
tu hai bas mera aur main teri saathi hun 
tere jane se chhaya phir andhera hai 
sapnon se bhi ab main dar dar jaati hun 
aisa lage tere bina kuch bhi nahi, kuch bhi nahi 
aa bhi jaa, ab aa bhi jaa, tu hi meri
roshni roshni roshni 
tere hasne se mujhko aati hai hansi 
teri sari batein chup chaap main sunti 
tere hasne se mujh ko aati hai hansi 
teri sari batein chup chaap main sunti 
aisa lage tere bina kuch bhi nahi kuch bhi nahi 
aisa lage tu hai dua, meri khushi 
tere hasne se mujh ko aati hai hansi 
teri sari batein chup chaap main sunti

Song details

Song video

Watch on YouTube