Roman script

teen lok ke devta hain taitish karod 

mat pita do devta, in sab me bejor 

are insaan 

are insaan tu apana ghar pahchan 

tere mata pita se badhke nahi re bhagwan 

badke nahi re bahgwan 

are insaan, are insaan 

bhatak raha kyu andhiyare me 

bharam me kyu bhrmata 

pita rup parmeshvar ka hain, mata rup bidhata 

ho mata pita ki godi pyari 

sundar swrg saman, are insaan 

lakho janam le fir bhi na chuke 

mata pita ka karj 

rom rom tera rini hain unka 

jinhone jivan sarja 

hao mata ki nau mahino par teri 

sari umar kurban, are insaan 

mashal chal kyu us dali ko 

jiska tu hain ful 

jisko godi ne bachpan khela 

use gaya kyu bhul 

use gaya kyu bhul 

pita ka dukhda tujhe pukare laut ke aa

maa ke aansu tujhe pukare laut ke aa 

dharm karm kartaby pukare laut ke aa 

laut ke aa re anjaan 

tere karan tadap rahe hain 

mat pita ke praan, laut ke aa 

laut ke aa re anjaan

laut ke aa re anjaan

Explore this song