Roman script

behti hui main hu nadi, sagar ki talash hai

sagar se milwa de band ho na jaaye aankh, aawaz de

hai dil ye ghayal jo bhara hai dard se, kaisi bebasi

taare saare chhup gaye phir chhaaya andhera

tanha phir se reh gaye hum

kyun ye humse teri duri, kaha hai wo dil tera

tha jo kabhi ghar mera, ghar se kyu beghar kar diya tune

dil kare teri baaho me aake abhi chhup jaau mai

bhigi teri in aankho me banke roshni abhi sama jaau mai

daudi daudi aau jo pukare pyar se par tu hai nahi 

taare saare chhup gaye phir chhaaya andhera

tanha phir se reh gaye hum

dil ki baate kya main keh du

aati hai tu khwabo me to samne kyun aati nahi

ghadi ghadi mujhe kyun sataati nahi

behti hui main hu nadi, sagar ki talash hai

sagar se milwa de band ho na jaaye aankh, aawaz de

hai dil ye ghayal jo bhara hai dard se, kaisi bebasi

taare saare chhup gaye phir chhaaya andhera

tanha phir se reh gaye hum

Explore this song