Roman script

piya tu piya wo nahi man basiya wo nahi 
preet se dil ko kahin moh liya to nahi 
badli si meri duniya lage 
pagli meri paijaniya lage 
puche tu kiski joganiya lage 
ye nis din sataaye piya 
ye nis din sataaye piya
jiya re jiya wo nahi teri batiya wo nahi 
dil mein jala hai kahin prem diya to nahi 
man mein kabhi the shikwe gile 
bhul ke usko humse mile 
aake tu lag ja gale se mere 
ke tere bin na laage jiya 
ke tere bin na laage jiya 
jo tu bani humsafar hai 
dil ki zameen tar batar hai
kyu mujhko samajhne mein itne zamane lage 
puchu to aankhen churane lage 
ke nis din jalaye jiya
ke nis din jalaye jiya
baahon mein kasne lage ho 
phir bhi tarasne lage ho 
sajan teri nazron se jaldi pighalne lagi 
tere isharon pe chalne lagi 
ke tere bin na laage jiya
ke tere bin na laage jiya
ye nis din sataaye piya

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Arijit Singh, Chinmayi Sripada