Roman script

taqdeer me likha hai meri thokar khana ha

bedard zamana, bedard zamana

ab kaun sune dil ki kahani mere

pochhega kaun aankho ka pani mere

ye din hi dikhana tha to kyun pyar kiya

kyun pyar kiya

marne na diya jeena bhi dushwar kiya

aaya na char din bhi tumhe pyar nibhana 

haye pyar nibhana, bedard zamana

maiya ne mujhe chhod  diya

babul ne mukh mod liya

saajan ne bhi dil tod diya

haye is dard ki maari ka raha kaun thikana

is dard ki maari ka raha kaun thikana

main kiske aage ro ke sunau ye fasana

sunau ye fasana, bedard zamana

hai raat andheri, mere dil me hai andhera 

mere dil me hai andhera 

ujda hua hai aaj mera kal ka basera

haye kal ka basera

bhagwan bhagwan bhagwan bhagwan

bhagwan meri raat ka kab hoga savera

kab tak mujhe manjur hai yu mujhko rulana

haye mujhko rulana

haye haye haye bedard zamana, bedard zamana

Explore this song