Roman script

tal na sakega are vidhata

tera likha vidhan

mahlo ki maharani ban ko

karti hai prasthan

vidhata tera atal vidhan

dukh me sukh aur sukh me dukh

hai samay bada balwan

kal kya tha aur kal kya hoga

koi na saka pahchan

likha bhagay ne asuwan jal se

naari ka aadhyan

vidhata tera atal vidhan

vidhata tera atal vidhan

raghukul kirti amar ho jaye

puri karne aas

dhobi ke kahne par hota

sita ko vanwas

agni ka bhi lo jhutha

padta hai vardan

vidhata tera atal vidhan

vidhata tera atal vidhan

chali ja rahi hai raghurani

ansh liye raghuvansh ka

raghuraja ke man me kaise

shan aaya vidhvant ka

ek naari ko dekh chakit hai

sare ved puran

vidhata tera atal vidhan

vidhata tera atal vidhan

tal na sakega are vidhata

tera likha vidhan

mahlo ki maharani ban ko

karti hai prasthan

vidhata tera atal vidhan

vidhata tera atal vidhan

Explore this song