Roman script

takdeer me likha hai meri thokre khana

ha bedard jamana, ha bedard jamana

ab kaun sune dil ki kahani mere

puchhega kaun aankho ka pani mere

ye din isi khanabadosh ke pyar kiya, kyun pyar kiya

marne na diya jina bhi dushawar kiya

aaya na char din bhi tumhe pyar nibhana, haye pyar nibhana 

bedard jamana

maiya ne mujhe chhod  diya, babul ne mukh mod liya

saajan ne bhi dil tod diya

haye iss dard ki maari ka raha kaun thikana

main kisse aaj roke sunau ye fasana, sunau ye fasana

bedard jamana

hai raat andheri mere dil me hai andhera mere dil me hai andhera

ujada huwa hai aaj mera kal ka basera, haye kal ka basera

bhagwan, bhagwan, bhagwan, bhagwan

bhagwan meri raat ka kab hoga savera

kab tak tujhe manjur hai yu mujhko rulana, haye mujhko rulana

haye haye haye bedard jamana, bedard jamana

Explore this song