Roman script

chaand punam ka khila madabhari yeh raat hai

har sitaare ka tadapana mere dil ki baat hai

takdir ka shikwa kaun kare 

takdir ka shikwa kaun kare, gham ko bhi sanwaara karte hai

bhagwaan tumhaari duniya me ro-ro ke gujaara karte hai

armaan huye hai viraane, aur hosh huye hai divaane

aur hosh huye hai divaane

ham chaand ko unke dhokhe me ghabra ke ishaara karte hai

bhagwaan tumhaari duniya me ro-ro ke gujaara karte hai

khud aap ko lutata dekh ke ham, har roj uthaaye laakh sitam

har roj uthaaye laakh sitam

armaan ke aansu bahete hai jab jikr tumhaara karte hai

bhagwaan tumhaari duniya me ro-ro ke gujaara karte hai

ik aankho me dariya behta hai, saawan me mera ghar jalta hai

saawan me mera ghar jalta hai

dukh dard ki bhigi raato me

dukh dard ki bhigi raato me ham tumko pukara karte hai

bhagwaan tumhaari duniya me ro-ro ke gujaara karte hai

takdir ka shikwa kaun kare, gham ko bhi sanwaara karte hai

bhagwaan tumhaari duniya me ro-ro ke gujaara karte hai

Explore this song