Roman script

tabiyat thik thi aur dil bhi beqaraar na thaa

ye tab ki baat hai ke jab kisi se pyaar na thaa

tabiyat thik thi aur dill bhi beqaraar na thaa

na thi bechainiyaan betaabiyaan aur gham nahi thaa

koi mahabub na thaa koi bhi hamadam nahi thaa

kisi ki yaad na thi aur intzaar na thaa

ye tab ki baat hai ke jab kisi se pyaar na thaa

tabiyat thik thi aur dill bhi beqaraar na thaa

ye tab ki baat hai ke jab kisi se pyaar na thaa

kisi paraaye ki baaton me ye mithaas na thi

mere pe aas dil ko to ko_i bhi aas na thi

kisi ke jhuthe vaado pe bhi aitabaar na thaa

ye tab ki baat hai ke jab kisi se pyaar na thaa

meri nindon ki duniya me kisi ke sapne na the

jahaan ke dard aur dukh bhi mere apane na the

mera dil thandi aah kaa kabhi shikaar na tha

ye tab ki baat hai ke jab kisi se pyaar na tha

tabiyat thik thi aur dil bhi beqaraar na tha

Explore this song