Roman script

ek tha scientist nam uska khurana

thoda sa bhulakkad thoda sa pagla

pachhis sal se khoj raha tha divana

budhe ko jawan banane kaa formula

aao chale dekhe ye aankho dekha hal

khurana ke formula ne kiya kaise kamal

bas ek bund aur umar kam ho jaye pachhis sal

badak kaa ban gaya dekho anda kamal

formula kaa raj jante sirf khurana

ke do hi khas ek secretary kavita dusra tota

jo bolta jhakkas bolta tota aisa khilauna tha

jiska kam khurana ko sab kuchh yad dilana tha

par kavita aisi secretary thi

jo karne wali khurana se gaddari thi

khurana ki thi wish formula jaye bharat sarkar ko

lekin kavita chali batane

khurana ke judwe bhai underworld ke don ko

don kaa bada beta baljit

beiman aur lalach me tha

inse miliye don ki dusri paidaish sunny

north indian ghar me south indian dish

shak hamesha don ko khata tha

sunny uska beta nahi ho sakta ye khayal aata tha

uski dono ki biwi marte huye shayad ye chah

rahi thi kehna ke sunny uske

aur unke padosi subramaniam ki

ek bhul kaa hai gehna baljit ne kiya bap se dhokha diya

chinese gang ko formula kharidne kaa mauka

chinese gang ne diya pachas carode advance aur tin din me

baljit ko formula dene kaa chance

ab ye formula jhuth fareb ko

rakhte hai side me aur luv story ko

lete hai mind me college me padhta bhi aur

cantin me karta kam bilkul simple chokra karan uska nam

duniya me akela ekdum lonely

cantin wala murgan to wahi uska family

sirf sunny kya sara college tanya pe marta hai

karan bhi to usse chhip chhip ke pyar karta hai

is tarah huyi dosti ki shuruwat

karan ne chaha kuchh aage kare bat

birthday kaa bahana karke bulaya khane pe

tanya bhi razi huyi dinner ke liye aane pe

biryani banaya candle jalaya karan

karne laga waiting pant kharida shirt laya tanya ne

ki karan ki birthday shopping

bas milne hi wale the ab dono ke

man jab bitch me aa gaye sare vilain

scientist ne dala formula tijori ke andar

phir tijori kaa code bola tote ke bhitar

tab aaya baljit formula pane gaddari

apne chacha pe jatane baljit ko

chakma deke scientist bhaga tota leke

tab aaya baljit ke samajh me ke formula hai

band tijori me aur band tijori kaa

code hai bolte tote me baljit ne

sab ko sath khicha aur kiya scientist

kaa picha tab padi scientist ki najar

tanya ke purse se giri huyi

chizo pe kuchh reh gaya piche

najdik jake dekha to credit

card tha tanya kaa nam bhi likha tha niche

aage jake tanya ko huwa ye ehsas

ek insan hai pareshan jau uske pass

soch ke aisa tanya ne gadi u turn me ghumayi

aur phir dekh samne kaa najara

wo buri tarah ghabrayi

baljit ki bhi aankh ladki pe padi

samajh gaya wo galti ho gayi badi

ladki ne khun karte huye dekh liya hai usko

pakadna padega abhi isse pehle

ke wo bataye kisiko wohi dekha credit card

scientist ke hath me jaan gaya tota hai kisi

tanya ke sath me ab pakadna padega

do ladkiyo ko ek hi rat me jiske pass hai tota aur

jisne dekh hai khun hota dekh ke tanya ki photo ko

baljit ke dimag ki khul gayi khidki

jisne dekha khun aur jiske

pass hai tota wo ek hi hai ladki

darkar tanya gayi police station

par waha pehle se hi baitha tha dushman

chupke chupke tanya ne suni inspector aur baljit ki bat

socha chodna padega usko apna ghar usi rat

intzar karte karte thak gaya karan

par uske ghar nahi aayi tanya uss rat

to karan aaya tanya ke ghar socha ke

aisi kya ho gayi bat honi ke is khel se karan tha

anjan pahuncha tanya ke ghar par ho nahi saki

usse mulakat tanya apne bhayi golu ko lekar

nikal gayi rat ke andhkar me chodke karan ki luv story

bitch majhdhar me us rat ke bad karan ne bahut dhundha

idhar udhar left right kahi nahi mili tanya wo ho

gayi out of sight

is tarah lovers key bitch me ho gayi judayi

kya phir aage mil payenge tum hi dekho bhayi

Explore this song