Roman script

suno suno he nar nari ye katha purani hai

ye katha purani hai ye katha purani hai

janak raj ki beti pyari hui swayamvar ki tyari

ek dhanush aayega bhari ek dhanush aayega bhari

jo bhi uski dor chadaye

wohi siya ka piya usi ki sita rani hai 

usi ki sita rani hai ye katha purani hai

desh desh ke raja aaye besh banaye

rawan aaya rawan aaya use dekh raja ghabraye

ram lakshman rajkuwar matwale 

kuwar matwale kuwar matwale

viswamitra guru bhi aaye dadhiwale

dekh dekhkar hasta hai rawan abhimani hai

rawan abhimani hai ye katha purani hai

hath liye jaimala sita aayi sita aayi

papi rawan ki aankhe lalchahi aakhe lalchai

sita ne tab charo aur najar daudayi 

najar daudayi ha najar daudayi

ram chandra ki chat naino me chayi

naino me chayi ha naino me chayi

siya sochkar mann hi mann akulayi

komal tan hai ram aur parwat si dhanush uthani hai

komal tan hai ram aur parwat si dhanush uthani hai

uthani hai uthani hai

chali hai janki sita magan hai nayan sharmate hai

aasman se phul baraste nar nari muskurate hai

ram chandra ko sita rani ne pahanai jai mala

jai mala ho jai mala

ye do hridyo ke madhur milan ki amar kahani hai

ye katha purani hai ye katha purani hai

Explore this song