Roman script

suno sunau tumhe ek kahani

ek tha raja ek thi rani 

unke ek tha kunwar latani

bhola bhaala magar ghumaani

bade chain se gujar rahi thi 

tino ki jindgani re suno kahani

lekin ek saman samay na rahne paya

sukh ke baad hai dukh ki bari

uske baad hai chhay isi niyam anusar

un par sankat aaya bichhad gaye

raja aur rani apna laal gawaya 

abhi abhi baat hai ye

mat samjho isr purani re suno kahani

suno sunau tumhe ek kahani

ek tha raja ek thi rani 

jangal jangal fira kayi din tak

singhasan ka swami

aakhir apne pet ke khatir 

karni padi gulaami

rani ka kuchh haal na puchho 

jane antaryaami

suna hai wo bhi aaj dasi bankar

karti hai gulami

jab jab aati yaad ye baate

bhar bhar aata pani re suno kahani

suno sunau tumhe ek kahani

ek tha raja ek thi rani 

bada kathin hota hai jag mein 

chakkar bure dino ka 

milne nahi deta hai bichhado ko 

haye bhagy ka dhokha 

paas paas hai raja rani 

fir bhi kha rahe dhokha 

na jane kab chandi mata

kab degi milan ka mauka 

ab to hai bas unka bharisa 

raksha kare bhawani re suno kahani

Explore this song