Roman script

suno sajna papihe ne suno sajna papihe ne

kaha sabse pukaarke sambhal jaao chaman waalo 

sambhal jaao chaman waalo ke aaye din bahaar ke

suno sajna suno sajna 

phoolo ki daaliya bhi yehi geet gaa rahi hai

ghadiya piya milan ki nazdeek aa rahi hai

nazdeek aa rahi hai hawaao ne jo chhede hain 

hawaao ne jo chhede hain fasaane hain wo pyaar ke 

sambhal jaao chaman waalo ke aaye din bahaar ke 

suno sajna suno sajna 

dekho na aise dekho marzi hai kya tumhaari

bechain kar na dena tumko kasam hamaari

tumko kasam hamaari hami dushman na ban jaaye

hami dushman na ban jaaye kahi apni qaraar ke

sambhal jaao chaman waalo ke aaye din bahaar k

suno sajna suno sajna 

baago main pad gaye hain saawan ke mast jhoole

aisa sama jo dekha raahi bhi raah bhoole

raahi bhi raah bhoole ke ji chaaha yahi rakh de

ke ji chaaha yahi rakh de umar saari guzaar ke

sambhal jaao chaman waalo ke aaye din bahaar ke

suno sajna suno sajna

Explore this song