Roman script

suno ramjan ki dasta to suno

rahmato ka baya hai baya to suno

rahmato ka baya hai baya to suno

ladka tha ek sahar me jo husn bemisal

kamsin tha jiski umar thi samjho ki sat sala

ramjan ke jo chand pe uski najar padi

uske bhi dil me roze ki ek aarzu jagi

roza rakhunga mai bhi ye ma bap se kaha

sahri karunga mai bhi jaga dena tum jara

suno ramjan ki dasta to suno

rahmato ka baya hai baya to suno

rahmato ka baya hai baya to suno

ladke ki bat sunli magar kuch nahi kaha

ladka subah utha to hua unse wo khafa

samjhaya ma ne bap ne aye mere gulshita

roza nahi hai farz abhi tujhpe meri ja

nanhe se dil ko bat ka sadma bada hua

maa se kaha kuran me kahta hai ye khuda

roze ke bhukh pyas jo hasti uthayegi

us rozedar ko na ye to jakh jalayegi

kuran jisme utra suno wo mahina hai

tauba kabul karta khuda wo mahina hai

suno ramjan ki dasta to suno

rahmato ka baya hai baya to suno

rahmato ka baya hai baya to suno

aayi jo sar pe rat to wo jagta raha

shahri bhi karli chupke se khush hoke so gaya

utha subah to maa se kaha sara majra

maa ne bade hi pyar se usse ye kaha

roza na rakh sakega ye jidd chhod maan ja

de dungi apna roza tujhe mere dilruba

todunga mai na roza kabhi kuch na khaunga

akhir khuda ko kis tarah ye muh dikhaunga

maa ne kaha ki bukh lagi hogi ladle

garmi hai tujhko pyas lagi hogi ladle

kahne laga ki chahe jami par ho aftab

pani ka ek katra pina bada azab

suno ramjan ki dasta to suno

rahmato ka baya hai baya to suno

rahmato ka baya hai baya to suno

almukta sar jo gayi aa gayi asar

wo pyas jaan le gayi pathra gayi najar

maa ne kaha ki haye mera lal chal diya

iftari jo banai thi wo bhi na kha saka

roze ka waqt ho gaya lekin kaha hai wo

ab to khuda ki rah me aakhir rawa hai wo

itne me ek fakir ne aakar ye di sada

mai bhi hu rozedar ki lelo meri dua

jo kuch bhi paas ho mujhe khana khilayiye

matam ye kaisa hai jara itna batlayiye

aankho se aasuo ka janaza gujar gaya

maa bap dono bole ki bacha hi mar gaya

bola fakir ki mujhko khudara batao tum

lash kaha hai bete ka mujhko dikhao tum

sahil me lash dekh ke na jane kya padha

murde ke dil pe hath rakha or di sada

masum rozedar ki ab roza khol tu

kab tak yu chup rahega jara muh se bol tu

itna hi sunke bache ne fir aankh khol di

maa mamta ki mari thi usse lipat gayi

sahil nahi tha wo farishta khuda ka tha

bache ko jinda karke jo rupesh ho gaya

aati hai insan pe imtiha ki ghadi

allah pe jan de de wo marta nahi kabhi

marta nahi kabhi marta nahi kabhi marta nahi kabhi

Explore this song