Roman script

tere darbaar me data, sada insaaf hota hain 

use tu paar karta hain, jise tufaan dubota hain 

sun meri fariyad kiya hain, maine tujhko yaad 

sun meri fariyad kiya hain, maine tujhko yaad 

kar dega barbaad meri duniya ek saiyad 

sun meri fariyaad 

jab jab tere bando ne di teri duhai 

tab tab maliq tune hi unki laaj bachai 

aaj magar khamosh hain tu 

aaj magar khamosh hain tu 

kyun dekh ke ye bedag 

sun meri fariyad kiya hain, maine tujhko yaad 

kar dega barbaad meri duniya ek saiyad 

sun meri fariyaad 

ek taraf ek sikandar ki shan hain 

ek taraf begunaho ki jaan hain

aaj sare jamane ke samane 

tere insaaf ka imtihaan hain 

naam mitega tera bhi, naam mitega tera bhi 

mere mitane ke baad 

sun meri fariyad kiya hain, maine tujhko yaad 

kar dega barbaad meri duniya ek saiyad 

sun meri fariyaad

Explore this song