Roman script

suni pita ki aagya dushman ki lalkar

amarsingh ki myan se nikal padi talvar

nikal padi talwar mayan se nikal padi talvar

dharti hili hila ambar duniya me hahakar hua

jab jaan hatheli me lekar ghode pe sher sawar hua

khunkhar babbar shero se jag me rakhna acha bair nahi

talwar ghumata amar chala ab jalim singh ki khair nahi

ab jalim singh ki khair nahi vo bijli thi ya ghoda tha

toofan tha jiski masti me bas ek kadam me jungle tha 

dusra kadam tha basti me kon karega raksha

kon karega raksha ab jalim singh ke pran ki

ham tumhe sunate katha rajsthan ki

jai jai rajsthan jai bharat ki shaan

veer pita ki veer kumari laad pyar se thi jo pali 

babul ka ghar chhod tihari ab apne sasural chali

aaj vida ki bela me ja ke de uske uphar

beti ke hatho me sopi dekho ek katar

ye katar ki dhar kisi ke garam khun ki hai pyasi 

yaad dilane amar pratigya chali amar ki ye dasi 

chingari ab sulag uthi hai chingari ab sulag uthi hai

nari ke apman ki ham tumhe sunate katha rajsthan ki

jai jai rajsthan jai bharat ki shaan

jai jai rajsthan jai bharat ki shaan

Explore this song